Friday, 29 May 2009

I love you 7

tum ko daikha to yeh khayal aaya
 

zindagi dhoop tum ghana saaya

aaj phir dil ne ik tamanna ki
 

aaj phir dil ko hum ne samjhaya

tum chalay jao gay to sochaiN gay
 

hum ne kia khoya, hum ne kia paya?

hum jisay gunguna nahiN saktay
 

waqt ne aisa geet kiyoN gaaya?


maiN bhool jaooN tumhaiN ab yehi munasib hai
 

magar bhulana bhi chahooN to kis tarah bhoolooN
 

k tum to phir bhi haqeeqat ho koi khaab nahiN
 

yahaN to dil ka yeh aalam hai kia kahooN kam bakht

bhula saka na silsila kabhi jo tha hi nahiN
 

woh ik khayal jo aawaaz tak gaya hi nahiN
 

woh aik bat jo maiN keh nahiN saka tum say
 

woh aik rabt jo hum maiN kabhi raha hi nahiN
 

mujhe hai yad woh sab jo kabhi hua hi nahiN

agar yeh haal hai dil ka to koi samjhaye
 

tumhaiN bhulana bhi chahooN to kis tarah bhooloN
 

k tum to phir bhi haqeeqat ho koi khaab nahiN!

No comments: