Wednesday, 6 May 2009

Hit poetry 11

Tujh se bichar k hum bhi muqaddar k ho gaye,

phir jo b dar mila usi dar k ho gaye,

ae yaad-e-yaar tujh se karen kya shikayaten,

ae dard-e-hijar hum b to pathar k ho gaye,

rotay ho ek jazeera-e-jaan ko "faraz" tum,

dekho to kitne shehr samandar k ho gaye...!
Kabhi tairi rafaaqat sey nikalna hi nahin mumkin

,
Kabhi daaman chura laina bohat asaan lagta hey

,

Kabhi tum rothtey ho to ajab mushkil c parti hey,


Kabhi tujhko mana laina bohat asaan lagta hey

,

Kabhi samjha karo kuch faisley halaat kartey hain,


Kabhi waaday nibha laina bohat asaan lagta hey

,

Kabhi kuch din tumharey bin guzertey hi nahin laikin

,
Kabhi muddat bita daina bohat asaan lagta hey.. 

No comments: