Saturday, 7 November 2009

Baat Chali Teri Baton Sa

Baat chali teri baaton sa or ja pohnchi paimaanay tk.

Kheench rahi hai teri ulfat aaj mujhay maikhaanay tak,

Ishq ki baatain gham ki baatain dunia walay karty hain,

Kis ne shamma ka dukh dekha or kon gaya parwany tak,


Ishq nahi hai tum ko mujh se sirf bahanay kartay ho,

Younhe bahanay qayen rakhna tum meray marr janay tak,

Itna he kahna ha tum se mumkin ho to aa jana,

Aa jao to ruk jana bus dil k sambhal jany tk,

No comments: