Monday, 1 June 2009

I love you 9

dil k phool bhi khiltay haiN bikhar jatay haiN
 

zahkm kaisay bhi hoN kuch roz maiN bhar jatay haiN

us dareechay maiN bhi ab koi nahiN aur hum bhi
 

sar jhukaye huwe chup chaap guzar jatay haiN

raasta rokay khari hai yehi uljhan kab say
 

koi poochay to kahaiN kia haiN, kidhar jatay haiN

narm aawaz, bhali bataiN, muhazzab lehjay
 

pehli barish maiN hi yeh rang utar jatay haiN


Raatain Hain Udaas, Din Karry hain
 

Ay Dil Tere Honslay Baray Hain

Ay Yaad -e- Habib Sath Daina
 

Kuch Marhallay Sakht aa Paray hain

Rukna Ho Agar to So bahaanay
 

Jaana ho Agar to Rastay Baray Hain

Ab jaany Kahan Naseeb Lay Jaye
 

Ghar Say To FARAZ Nikal Paray Hain

No comments: