Wednesday, 15 July 2009

Pehle To Thay Na Roshan,


Pehle to thay na roshan,


taaray, charag, jugnu,


aaya hai dil mai koi yaaden hain teri,ya tuu,


hum tujh ko dekhte hain aur soch mai pare hain,


tu phool hai ke khushbu,


tu rang hai ke jadu,


yeh faslay nazar ke,


be'maani ho gaye hain,


kafi hai muskuraht,


kafi hai teri khushbu. 




^^ Soda ^^


Tum jo chaho to..




hum aaj bhi




apni saansoan ka her sur




tumhein sonp dein




sirf




beeti hui




chahatoan ke Aiwaz!!! 

No comments: